Affiliate Marketing in Hindi – Iske bare mein puri jankari

Last Updated: January 21, 2024 by admin

Affiliate Marketing

Kaise ho dosto! Agar aap affiliate marketing kaise kare ke bare mein puri jankari lena Chahte Hain. To aap bilkul sahi jagah par Aaye Ho kyunki is article mein mai aap ko bataunga ki Affiliate Marketing kya Hai yani what is Affiliate Marketing. 

Aur is se paise Kaise kamaye, how to start affiliate marketing ya phir how to do affiliate Marketing. ke bare main Puri jankari dunga. Ye sab padhne ke baad mein Asha karta hun ke apko iski Puri jankari mil jaegi. Uske sath sath apke sare doubts bhi clear ho jaenge.

Toh Dosto agar aap Affiliate Marketing ke baare me Puri Jankari Janna chaahte hain. Toh aap bane Rahiye Mere Saath is article mein. Dosto Main Jaanta Hoon ki aap ko affiliate marketing ko lekar bohat Sare doubt honge. Aur is article main mai aapke wo saare doubt clear karne ki koshish karunga.

Affiliate Marketing
 

Overview

Jesa ke Dosto Hum Sab Jante Hain Ki is waqat online shopping aur internet ka zamana chal raha hai. Har Insaan online shopping karna Pasand karta hai. Aur isi beech main bahut Sare Aise log hain, Jo ke eCommerce website aur personal blog ki madad se bahut Sare paise kama rahe hain.

Agar Apke Pas apni Khud ki website ya phir blog hai. To aap affiliate marketing ke baare mein zaroor Jante Honge. Lekin kya affiliate marketing ka aap use karte ho. Agar apka answer yes hai tab to theek hai.

Lekin agar apko iska kuch bhi pta nahi hai. To apko ye zarur karni chahiye. Aise bahut Sare Aise bade bade bloggers hai jo ke affiliate marketing ki madad se lakhon karodo rupay Kama rahe Hain. Toh Dosto ab Hum Jaan Lete Hain Ki Aakhir Affiliate Marketing kya hai.

Also Read: Best Air Cooler जो कि अभी trending मै चल रहे हैं

What is Affiliate Marketing? | Affiliate Marketing kya hai

Agar Main aapko Asan bhasha mein Kahoon toh is ka matlab hota hai. Ki kisi bhi Company ka koi product Apne Through bechna yani sell karwana. Aur agar aap koi bhi product uus company ka bechate ho toh aapko Woh company Commission Deti Hai. Isi cheez ko hum Affiliate Marketing kehte hain.

Agar aap ke paas koi bhi website ya phir blog hai to ap kisi bhi company ka product apni website par bech sakte ho. Wo online shopping company koi bhi ho sakti hai. Lekin aj ke zamane mein Amazon, Flipkart, Bluehost, Snapdeal, Paypal, bizgurukul. com, Clickbank, etc. bohat hi mashur hai.

Aap Kisi bhi online shopping website ya phir eCommerce website par jakar Apna account create kijiye. Account banane ke baad aap us website se product k links ko create Krk. Apni website ya phir blog par Lagaye.

Agar aap ki website ya phir blog  pr bahut jyada traffic hoga toh kam se kam Ek Adha to us link per click Karke uus product ko kharidega aur iski madad se aapko direct Commission mil Jayegi.

Ab ye Commission depend karti hai ke woh product kaisa hai. Agar toh Woh product fashion ya phir Lifestyle ya phir health and fitness par hoga. Toh aapko Jyada Commission Milegi aur Agar wo electronics ya phir other appliances par hoga. 

Toh aap ko uski kam Commission milegi lekin jo Jitna Jyada Mehnga product Hoga uski Commission utni hi jyada Hogi. Toh Yeh Faida Hai Affiliate Marketing ka matlab.

Also Read: 5 Best earphones under 500 (Budget killer earphones)

How Affiliate Marketing works | Affiliate Marketing kaam Kaise karta hai

Agar aap online earning karna chahte ho ya phir aap online earning kar rahe ho. Toh aapko is ke baare mein samajhna bahut zaroori hai. Kyunki ye Ek Aisi marketing Hai. Jiski madad se aap bahut Sare paise Ek Sath Kama Sakte.

Bohat sari websites jaise ki Amazon, Myntra, Flipkart, Snapdeal vagera vagera hoti hain Jo k Apne products ko promote karne ke liye dusri website ki madad chahti hai.

Agar Apke Pas apni website ya phir blog hai to aap un products ko promote Karke bech sakte ho. Jis ki madad se aap achi Khasi Commission generate Karke Ek achi income tayyar kar sakte hain.

Also Read: 5 Bass Beast and Best earphones under 2000 with Mic

Kya blog/website hona zarui hai?

दोस्तो ऐसा बिल्कुल भी जरूरी नहीं है के. आपके पास अपनी website होना जरूरी है. अगर आपका कोई WhatsApp group है जिस में बोहत सारे लोग हैं. तो आप वहां पर भी एफिलिएट मार्केटिंग कर सकते हो.

अगर आपके fan follower ज़्यादा है. तो भी आप किसी का प्रोडक्ट बेच करके ये मार्केटिंग कर सकते हो. लेकिन आपके पास कोई ना कोई तो होना ही चाहिए. जो के आपका promote किया हुआ product खरीदे or buy karein.

अगर आपके पास कोई भी नहीं होगा. तो आप किसी भी प्रोडक्ट को केसे बेचेंगे और कैसे ये मार्केटिंग करेंगे. दोस्तो अभी इसका ज़माना चल रहा है. और आने वाला ज़माना बोहत ही कॉम्पटीशन वाला होगा.

Also Read: 11 Best Whey Protein India 2024 जो कि एक दम बढ़िया से बढ़िया हैं

Affiliate Marketing companies | Affiliate Marketing websites | Affiliate Marketing Programs 

Abhi main aapko sabse badiya aur popular Marketing companies yani Affiliate Marketing Programs k bare mein btaunga. Aur agar aap ye wali Marketing karna chahte ho. Toh abhi ke abhi in sari Marketing companies main Apna account create kijiye.

1) Rakuten Linkshare
2) CLICKBANK
3) CJ AFFILIATE
4) AMAZON ASSOCIATES
5) AVANTLINK
6) EBAY
7) SHAREASALE
8) AVANGATE
9) FLEXOFFERS
10) REVENUEWIRE

Also Read: Best Scooter in India for Men/Women (Mileage/Performance King)

Affiliate Marketing companies mein account create kaise kare

Agar aap kisi bhi Marketing ki websites Main Apna account create karna chahte ho toh woh bohat hi easy Hota Hai. Aap Ko Bas us website Mein Jaana Hoga ya phir Google mein search kijiye us website ka Naam.

Aur saath mein likh Lijiye affiliate aur sabse Pehle wale result par click Karke us par Apna account bana Lijiye. Account create krne ke liye aapko ye sab cheeze fill Karni Hogi jaise ki

– Name
– Address
– Email Id
– Mobile Number
– Blog ya phir website ka URL
– Adhaar Card
– Pan Card
– Bank Details (bank detail apko isi liye fill krne hai taake jo bhi Commission yani earning Hogi wo sidha aapke bank account Mein Chali Jayegi)

Also Read: 15 Best Business Ideas in Hindi with low investment(Puri Jankari)

Final Words

Toh Dosto aaj k is article mein Maine aapko bataya ki What is Affiliate Marketing? Ye Kya Hai? Aur ye kaam kaise karta hai.

Main Umeed Karta Hun Ki aapko is asaan si Marketing ke bare mein puri jankari bahut hi acchi lagi Hogi. Agar Apke Pas koi bhi doubt hai toh Neeche comment kark.

Aap apna wo doubt puch skte Hain aur agar aap ye chahte ho. Ki ye Jankari dusron tak bhi pahunche to ise Apne friends and family members ke sath share bhi karna.

Thanks.

FAQs

Q. Is affiliate marketing profitable?

Ans. Yes.

Comments

2 responses to “Affiliate Marketing in Hindi – Iske bare mein puri jankari”

  1. Unknown Avatar
    Unknown

    hii Very good article.. thanks for sharing keep up the good work bro

  2. Exotic Irfan(Admin) Avatar
    Exotic Irfan(Admin)

    Thanks Dear

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *